The festivity of Janmashtami will be incomplete
without singing bhajans or hymns in praise of lord Krishna. There
are various bhajans describing the feats and accomplishments of
Lord. Few of the bhajans are listed below to be sung during Janmashtami.
Bhajo Radhe Govinda
Bhajo Radhe Govinda
Gopala Tera pyara naam hai
Gopala Tera pyara naam hai
Nandalala Tera pyara naam hai
Mor mukat maathe tilak viraje
Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala
Koi kahe Vasudev ka Nandan
Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala
Bhajo Radhe Govinda . . .
Gaj aur Grehe lade jal bitar
Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya
Jab jab bhid padi bhagaton par
Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya
Bhajo Radhe Govinda.
Mere Pyare Madan Gopal
Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, madan gopal
mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere madan gopal
Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit
hath haar,
chote se mere madan gopal
pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere madan gopal
pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana
dwaar.
Chote se mere madan gopal
Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal
Nandlal Tohri Mahima
Aparampar
Mere pyare nandlal, kaise karoon tohri mahima ka
bakhan,
janam liya mathura nagariya, karne danavon ka sanghar
kaise karoon tohri mahima ka Bakhan.
Janam data thi Devki Mata, Yashoda ko bhi diya maa
ka samman
kaise karoon tohri mahima ka bakhan
Putana ko mukt kiya, har liye Kansa ke pran
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.
Gopiyon sang raas kiya, Radha ko diya sampurna pyar.
Kaise karoon tohri mahima ka bakhan.
Chaliyon sang chal kiya, deeno sang seedha vyavhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.
Pandavon ka saath diya, Kauravon ko diya pachhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.
Mere pyare nandlal kaise karoon tohri mahima ka
bakhan
Darsh Do Mohe Girdhari
More pranpriye Krishna, more pyare Girdhari,
Darsh do mohe, More pran chhootat jat.
Main neech nirbal prani, chahta jana chhodd duniya
ka sath,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.
moh maya ke is bhanwar se ,do mujhe ab ubhar,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.
Karm ki gathariya ho gayi bhari, karo mera uddhar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.
Sumiran kar tera antim kshan mein, mujhe milega
swarg ka dwar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.
More Pyare Girdhari. Sun lo ab arz humari,
Darsh de mohe , more pran chhootat jat
Rang le khudko, Murari ke rang
Jeevan ke sab rang hain jhoote
Rang lo mohe, apne rang mein Murari.
Mrigtrishna ke is jaal se ab karo mukti humari,
Rang lo Mohe, apne rang mein Murari.
Dukh-sukh, paap-punya hain aane jane.
Rang lo mohe, apne rang mein Murari
Mayajaal ke rang hai kacche, bas tohre naam ke pukke,
Rang lo mohe, apne rang mein Murari
Tohre naam se hoga is bhav sagar ka paar
Rang lo mohe, apne rang main Murari
*****
|